Search This Blog

Wednesday, July 18, 2012

sab se chupa kar

Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya,

Lehje Se Uth Raha Tha, Har ik Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha Ke Kuch Ganwa Diya,

Awaz Mein Thihrao Tha, Aankhoon Mein Nami Thi
Aur Keh Raha Tha Ke Mein Ne Sab Kuch Bhula Diya,

Jane Kiya Us Ko, Logon Se Thi Shikayatein
Tanhaiyon Ke Dais Mein Khud Ko Basa Diya,

Khud Bhi Woh Hum Se Bichar Kar, Adhura Sa Ho Gaya
Mujh Ko Bhi itne Logon Mein Tanha Bana Diya,

Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya.

Tuesday, July 17, 2012

kuch baatein

kuch batein hum say suna karo 
kuch batein hum say kia karo

mujhay dil ki baat bata dalo
tum hont na apnay siya karo

jo baat labon tuk na aaye
wo ankhon say keh dia karo

kuch batein kehna mushkil hein
tum chehray say perh lia karo

jub tanha tanha tum hoti ho
awaz mujhay tum dia karo

her dharkan mere naam karo
her saans mein mujh ko pia karo

bay rung ager ye jeewan hay
meri khooshbu say rang lia karo

jo khooshian teri chahat hein
mere daman say chun lia karo

jo qalam say na likh pao tum
meri aankh ka kajal lia karo

ik baat kahoon jo dil mein hay
mujhay yaad hamesha kia karo

mere daman mein aa janay dow
na apnay aansu pia karo

jo sapnay tum say kho jayein
wo mujh say tum lay lia karo